Wah Kya Martaba Aie Gaus Hai Bala Tera
Unche Uncho Ke Saro Se Qadam Aala Tera
Unche Uncho Ke Saro Se Qadam Aala Tera
Sar Bhala Kya Koi Jaane Ki Hai Kaisa Tera
Awliya Malte Hai Aankhe Wo Hai Talwa Tera

Kya Dabe Jis Pe Himayat Ka Ho Panja Tera
Sher Ko Khatre Mein Lata Nahi Kutta Tera
Qasmein De De Ke Khilata Hai Pilata Hai Tujhe
Pyara ALLAH Tera Chaahne Wala Tera
Mustafa Ke Tana Be Saye Ka Saaya Dekha
Jis Ne Dekha Meri Jaan Jalwa e Zeba Tera
Ibne Zehra Ko Mubarak Ho Uroos e Qudrat
Qadri Paayen Tasadduq Mere Dulha Tera
Ye Dil Ye Jigar Hai,Ye Aankhe Ye Sar Hai,
Jahan Chaaho Rakho Qadam Gause Azam
Sadqa Rasool-e-Paak Ka,Jholi Mein Daaldo
Hum Qadri Faqeer Hai,Ya Gaus Almadad
RAZA Ka Khatima bil Khair Hoga,
Teri Rahmat Agar Shaamil Hai Ya Gaus
Hamara Khatima bil Khair Hoga,
Teri Rahmat Agar Shaamil Hai Ya Gaus
Teri Rahmat Agar Shaamil Hai Ya Gaus
Hamara Khatima bil Khair Hoga,
Teri Rahmat Agar Shaamil Hai Ya Gaus
Karte Hai Jinno Bashar,Har Waqt Charcha Gaus Ka,
Do Jahaan Me Baj Raha Hai,Danka Mere Gaus Ka.
Qadiri Kar Qadiri Rakh Qadiriyon Me Utha
Qadre Abdul Qadire Qudrat Numa Ke Waste
Ya Ilahi Huzoor Gause Azam Ke Gulaamo Me Qabul
Hum Sabihe Gause Azam Mustafa Ke Waste


























