MASLAKE AALAHAZRAT ZINDABAAD:
SARKAR ALLAMA MUFTI MUHAMMAD AKHTER RAZA KHAN SAHEB QIBLA FROM BAREEILY SHAREEF:
MUTTAQI BANKAR DIKHAYE ISS ZAMANE MEIN KOI,
EK MERE MUFTI-E-AAZAM KA TAQWA CHORKAR:
JANABE MUFTI-E-AAZAM KE FAIZANE TAJALLI SE,
SABISTANE RAZA MEIN KHAIR SE AKHTER RAZA TUM HO:
TYPE SMS ON YOUR MOBILE:
JOIN 786GULAMAKHTER SENT TO 09219592195 FOR DAILY DINI ISLAMIC SUNNI MESSAGE

EID MILADUN NABI MUBARAK HO

HAZRAT-E-SIDDIQ-E-AKBAR RADIYALLAHU TA'ALA ANHU NE FARMAYA KE JISNE NABI KARIM ALAIHISSALAM KE MILAD PAK PAR 1 DIRHAM BHI KHARCH KIA WO JANNAT ME MERE SAATH HOGA.

HAZRAT-E-UMAR FAROOQ-E-AAZAM RADIYALLAHU TA'ALA ANHU NE FARMAYA KE JISNE IMAMUL AMBIA SALLALLAHU ALAIHE WASALLAM KE MILAD PAK KI TAZEEM KI US NE ISLAM KO ZINDA KIA.

HAZRAT-E-USMAN GHANI RADIYALLAHU TA'ALA ANHU NE FARMAYA K JISNE SAYEDUL AMBIA KE MILAD PAR 1 DIRHAM BHI KHARCH KIA GOYA KE WO BADR WA HUNAIN KE JIHAD ME SHARIK HUA.

Maula-E-Qainaat Hazrat Ali Radiyallahu Ta'ala Anhu Farmate Hai Jo Koee Milad un nabi Sallallaho Ta'ala Alahie Wasallam Ki Ta'azeem Aur Us Per Kharch Kare Wo Dunya Se Imaan K Sath Jayega

Tuesday, March 1, 2011

Madina Sharif , Eid Miladun Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam

Sabse Aaula wa Aala Hamara Nabi 
Sabse Bala wa Wala Hamara Nabi
(Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam)
Saare Achcho Me Achcha Samjhiye Jise
Hai Us Achche Se Achcha Hamara Nabi
(Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam)
Saare Ucho Me Ucha Samajhiye Jise
Hai Us Uche Se Ucha Hamara Nabi
(Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam)
Kaun Deta Hai Dene Ko Muh Chahiye
Dene Wala Hai Sacha Hamara Nabi
(Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam)
Apne Maula Ka Pyara Hamara Nabi
Dono Aalam Ka Dulha Hamara Nabi
(Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam)
Jiske Talwo Ka Dhowan Hai Aabe Hayaat
Hai Wo Jaane Masiha Hamara Nabi
(Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam)
Bazme Aakhir Ka Samme Faroza Hua
Noore Awwal Ka Jalwa Hamara Nabi
(Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam)
Khalq Se Awlia Awlia Se Rusool
Aur Rasoolo Se Aala Hamara Nabi
(Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam)
Suraj Ulte Paaw Palte Chaand Ishaare Se Ho Chaak
Andhe Najdi Dekhle Qudrat Rasoolullah Ki


Tujhse Aur Jannat Se Kya Matlab Wahabi Dur Ho
Hum Rasoolullah Ke Jannat Rasoolullah Ki
Hashr Tak Daalenge Hum Paidaishe Maula Ki Dhoom
Misle Faras Najd Ke Qil'e Giraate Jaayenge.
Nabie Rehmat Shafie Ummat Raza pe Lillah Ho Inayat
Use Bhi Un Khilaton Se Hissa Jo Khass Rehmat Ke Wa Bate The
Subah Taiba Me Hui Batta Hai Baara Noor Ka
Sadqa Lene Noor Ka Aaya Hai Tara Noor Ka
Mustafa Jaane Rehmat Pe Laakhon Salaam
Samme Bazme Hidayat Pe Laakhon Salaam
Sahre Yaare Iram Tajdaare Haram
Nau Bahaare Safa'at Pe Laakhon Salaam
Hum Garibo Ke Aaqa Pe Behad Durood
Hum Faaqiro Ki Sarwat Pe Laakhon Salaam
Jin Ke Sajde Ko Mehraabe Kaaba Jhuki
Un Bhavo Ki Latafat Pe Laakhon Salaam
Jis Taraf uth Gayi Dam Me Dam Aagaya
Us Nigaahe Inayat Pe Laakhon Salaam
Daaldi Qalbo Me Azmate Mustafa
Sayedi Aalahazrat Pe Laakhon Salaam
Mujhse Khidmat Ke Qudsi Kahe Ha Raza
Mustafa Jaane Rehmat Pe Laakhon Salaam
Farishte Aaj Jo Dhoome Machaane Aae Hai
Unhi Ke Aane Ki Shaadi Rachaane Aae Hai
Unhe Khuda Ne Kiya Apne Meelk ka Maalik
Unhi Ke Qabze Me Rab Ke Khazane Aae Hai
Jo Chahenge Jise Chahenge Ye Use Denge
Karim Hai Ye Khazane Lutane Aae Hai
Sunoge 'La' Na Zabane Karim Se Noori
Ye Faizo Jud Ke Dariya Bahaane Aae Hai
Chamak Tujhse Paate Hai Sab Paane Wale
Mera Dil Bhi Chamka de Chamkane Wale
Tu Zinda Hai Wallah , Tu Zinda Hai Wallah
Mere Chasme Aalam Se Chup Jaane Wale



























Eid-e-Gausiya Mubarak Ho, Images Of Baghdad Sharif

Wah Kya Martaba Aie Gaus Hai Bala Tera
Unche Uncho Ke Saro Se Qadam Aala Tera

Sar Bhala Kya Koi Jaane Ki Hai Kaisa Tera

Awliya Malte Hai Aankhe Wo Hai Talwa Tera



Kya Dabe Jis Pe Himayat Ka Ho Panja Tera

Sher Ko Khatre Mein Lata Nahi Kutta Tera


Qasmein De De Ke Khilata Hai Pilata Hai Tujhe

Pyara ALLAH Tera Chaahne Wala Tera


Mustafa Ke Tana Be Saye Ka Saaya Dekha

Jis Ne Dekha Meri Jaan Jalwa e Zeba Tera


Ibne Zehra Ko Mubarak Ho Uroos e Qudrat

Qadri Paayen Tasadduq Mere Dulha Tera


Ye Dil Ye Jigar Hai,Ye Aankhe Ye Sar Hai,

Jahan Chaaho Rakho Qadam Gause Azam


Sadqa Rasool-e-Paak Ka,Jholi Mein Daaldo

Hum Qadri Faqeer Hai,Ya Gaus Almadad

RAZA Ka Khatima bil Khair Hoga,
Teri Rahmat Agar Shaamil Hai Ya Gaus
Hamara Khatima bil Khair Hoga,
Teri Rahmat Agar Shaamil Hai Ya Gaus

Karte Hai Jinno Bashar,Har Waqt Charcha Gaus Ka,

Do Jahaan Me Baj Raha Hai,Danka Mere Gaus Ka.


Qadiri Kar Qadiri Rakh Qadiriyon Me Utha

Qadre Abdul Qadire Qudrat Numa Ke Waste

Ya Ilahi Huzoor Gause Azam Ke Gulaamo Me Qabul
Hum Sabihe Gause Azam Mustafa Ke Waste

Friday, February 25, 2011

Huzoor Taajushshariah Allama Mufti Muhammad Akhter Raza Khan Saheb Qibla Ki Aawaz Me Naat Shareef,,Manqabat DOWNLOAD Kijiye

Khanwade Aalahazrat Janasheene Huzoor Muftie Azam Huzoor Taajushshariah Allama Mufti Muhammad Akhter Raza Khan Saheb Qibla Ki Aawaz ( Voice ) Me Naat Shareef,Manqabat Shareef DOWNLOAD Kijiye.

1. Arbi Qaseeda
DOWNLOAD

2. Qaseeda Sharif DOWNLOAD

3. Naat Sharif - Arbi Naat (1983) DOWNLOAD

4. Taajushshariah And Shaykh Fadl ar Rahman In Madina Sharif DOWNLOAD

5. Naat Sharif - Mustafa-e-Jate Yakta Aap Hai
DOWNLOAD

6. Naat Sharif - Badta SayeRehmat Chala Julfemuamber Ka DOWNLOAD

7. Naat Sharif - Shambal Ja ay Dile Muzter Madina Aane Wala Hai
DOWNLOAD

8. Naat Sharif - Tum Chalo Hum Chale Sab Madine Chale DOWNLOAD


9. Naat Sharif - Paigam Le Ke Jo Aie Saba Madine Se DOWNLOAD

10. Naat Sharif - Nazar Pe Kisi Ki Nazar Ho Rahi Hai DOWNLOAD


11. Naat Sharif - Furqate Taiba Ki Wehsat DOWNLOAD


12. Naat Sharif - Salle Ala Safiyena DOWNLOAD


13. Naat Sharif - Dil Dard Se Bismil Ki Tarah Lout Raha Ho DOWNLOAD

14. Naat Sharif - Zameeno Zamaan Tumhare Liye DOWNLOAD

15. Naat Sharif - Sarsuye Rauza Jhuka Phir Tujhko Kya DOWNLOAD

16. Naat Sharif - Jahaan Baani Ata Karde Bhari Jannat Hiba Karde DOWNLOAD

17. Naat Sharif Lam Yati Nazeeruka Fi Nazarin DOWNLOAD

18. (New Naat) Basay Hai Jab Se Madinay Ke Khaar Aankhon Me DOWNLOAD

19. (New Naat) Chand Se Unke Chehre Per DOWNLOAD

20. Manqabat - Tumhe Jisne Bhi Dekha KehUtha Ahmed Raza Tumho DOWNLOAD

21. Manqabat- Mufti-e-Azame Dine Khairulwara DOWNLOAD

22. Manqabat Hasan Miya Marehra Sharif DOWNLOAD

23. Salat o Salaam DOWNLOAD


Sunniyon Ki Pehchaan Maslake Aalahazrat Zindabaad