DAAGH-E FURQAT-E-TAYBA
Daagh-e furqat-e Tayba qalb muzmahil jaata
Kaash Ghumbad-e Khazra dekhne ko mil jaata
Mera dum nikal jaata unke Aastane par
Unke Aastaane ki khaak meh mein mil jaata
Mere dil se dhul jaata daagh-e furqat-e Tayba
Tayba meh fanaa ho kar Tayba meh hi mil jaata
Maut le ke aa jaati zindagi Madine meh
Maut se ga?le mil kar zindagi meh mil jaata
Khuld zaar Tayba ka is tarha safar hota
Peeche peeche sar jaata aage aage dil jaata
Dil pe jub kiran parti unke subz Ghumbad ki
Uski subz rangat se baagh bun ke khil jaata
Furqat-e Madina ne wo diye mujhe sudme
Koh par agar parti koh bhi to hil jaata
Dil pe wo qadam rakhte Naqsh Paa ye dil banta
Yaa to khaak-e-paa bun kar paa se mut?tasil jaata
Un ke Dar pe Akhtar ki hasrate huwi poori
Saa?ile dar?re aqdas kaise munfa?il jaata
No comments:
Post a Comment